Founder's Story
2008. Ek train. Ek bik chuki factory.
Kuch ghante pehle humne apni family factory ka sale deal poora kiya tha. Wo sirf ek business asset nahi thi - usse mere pita aur chacha ne banaya tha. Unke sapne, unki mehnat, parivaar ka bharosa - sab usme tha.
Train aage badh rahi thi, lekin mere andar sab kuch ruk gaya tha. Main chupchaap roya. Zor se nahi. Bas khamoshi se - jaise ek zimmedar aadmi rota hai, jise bahar ab bhi strong dikhna hota hai.
Phir ek station par train ruki. Khidki ke bahar ek chhota sa bookstall tha. Aur ek kitaab par meri nazar padi -
उस दिन मेरी problems solve नहीं हुईं। Financial pressure गायब नहीं हुआ। लेकिन मेरे अंदर कुछ बदल गया - पहली बार लगा, शायद failure final नहीं होता।
Us shaam jo shuru hua, wahi main 7 August 2026 ko aapke saath share karna chahta hoon. Poori kahani, uske teen chapters, aur wo guided processes jo maine apne dard mein khoje.